Menu
blogid : 1268 postid : 3

Vichar ‘Thought’

My Thought
My Thought
  • 63 Posts
  • 490 Comments

Vichar aate khn se h? General answer ‘Mashtik(mind) se.’ pr Mashtishk mei khn se aate h? ‘Aanubhavo se’. yeh Aanubhav khn se aate h? Yeh Aanubhav khin se b prapt ho jate h bina hmari ichha ya jarurat k. Jo hm dekhte h, Sunte h ya Mahsoos krte h vah sb hi Vichar mei aa jate h.

Vicharo pr kisi ka koi niyantran nhi h. yeh jaruri nhi hota h ki hmare Vichar hmko pasand hi aaye ya hmare hit (favor) k hi ho. Vichar kbhi-kbhi kuch Samsyaao ko suljha jate h to kuch muddo(matters) ko aur uljha dete h. shi-galat ka hisab bhi Vicharo ki hi madad(help) se hota h.

Kitabo mei padha h ki Srajanshiil(creative) log Vicharvaan hote h tbhi to nyi-nayi baate dimag mei late h. pr kai br jayada Vicharshiil hona bahut preshani ka sabab bn jata h.

Vicharo ko jayada Savatrantta(freedom) dene se wo svachandh (uninhibited) ho jate h phir wo jahn mna kro whn bar-bar pahuch jate h. Unse kuch poocho-daanto to khte h “…Bhai Hm To VICHAAR h Bulane Se Aate Nhi, Jane Ko Khne Se Jate Nhi…”

Ye Vichaar bahut Aadhiir(impatience) krte h. Kyo aate h ye? Na aaye to jayada acha h… pr gaur se soche to agar ye nhi ayenge to hm Manushya nhi rah jayenge aakhir Manushya bne h to uski Mool Pravatii (basic feature) Chetna aur Vichar Shakti k karan hi Manushya bne h.

Jaise Badppan(sincerity) meiChoto ko Maf kiya jata h waise hi Vicharo pr Vichaar na krk unhe  Chanchal balak (naughty child) smjhkr Maaf kr dena chahiye….

(sorry for using English Fonts)

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    CAPTCHA
    Refresh